Friday, April 3, 2020
Zindagi pe fanah
Tuesday, September 4, 2018
Zindagi ki talaash
Zindagi jeete jeete itne aage nikal aaye..... kuch begano ko apna kuch apno ko begana banate chale aye...
Khushi ki dhoop gam ki chao main.... zindagi ki kitaab k panne likhte chale aaye....
Kabhi num ki palke ... kabhi khawab ko jeeya.. kabhi hase to kabhi gussa kia....
Zindagi ki udhed bun main... yadon ki moti pirote chale aye....
Manzil pane ki kashmaksh main.... raasto se judte chale aye....
Har mod apna sa lagta tha.. har sapna saccha sa lagta tha...
Raah ki chah main...manzil ko khote chale aye....
From Minnie's pen
Friday, August 17, 2018
Meri tamanna, mera maksad
Bhool jati hun apni hadein, Beh jati hun duniya ke rang me.
Udna hai mujhe asmano me, naki kisi ke dil aur makano me.
Ankh me ansu nahi, chamak hua karti thi, par bhool jati hun rang mila nhi karte veerano me.
Duniya hai bus ik bandhan, yaad hai mujhe kai barson se, fir bhi isme jakad jati hun me.
Sambhalna hai apne dil ko, batana hai isse apna maksad, dhal na jaye ye kahin bedhange se dhang me.
From Minnie's pen
Monday, May 28, 2018
Kabhi kabhi
"Kabhi aks bankar kabhi shaksh bankar..Zindagi main aati hai khushiya,
Kabhi lafz bankar kabhi naksh bankar, jeene ke maiyne badal jati hai khaamiya.
Kabhi ashk bankar kabhi kashmakash bankar, jeena sikhati hain majbooriya,
kabhi kabhi ke silsilye main faskar reh jati hai zindadili se jeene ko zindagiyan."
Minnie ki kalam se...
Tuesday, February 6, 2018
Zindagi
Zindagi utni jio jitni khushnuma bana sako,
Zindagi utni jio ki kisi ko khushiyan dila sako,
Zindagi utni jio ki har manzil ke padawon pe ja sako,
Zindagi utni jio ki har pal ko khubsoorati se ji sako,
Zindagi utni jio ki zindagi ko Zindagi se bhar sako,
Zindagi utni jio ki zindagi ki ik misaal kayam kar sako.
Zindagi utni jio ki use pyar de sako, adhi hi jiyo lekin utni me poori zindagi bhar sako.
~minnie~ ki kalam se