Showing posts with label lovely memories. Show all posts
Showing posts with label lovely memories. Show all posts

Tuesday, May 21, 2019

Tuesday, February 6, 2018

Zindagi

Zindagi utni jio jitni khushnuma bana sako,
Zindagi utni jio ki kisi ko khushiyan dila sako,
Zindagi utni jio ki har manzil ke padawon pe ja sako,
Zindagi utni jio ki har pal ko khubsoorati se ji sako,
Zindagi utni jio ki zindagi ko Zindagi se bhar sako,
Zindagi utni jio ki zindagi ki ik misaal kayam kar sako.
Zindagi utni jio ki use pyar de sako, adhi hi jiyo lekin utni me poori zindagi bhar sako.

~minnie~ ki kalam se

Tuesday, December 19, 2017

Suhaani yaadein

"Kyun hojati hai wo baat, jo hum kabhi kehna nahi chahte.
kyun adhoori reh jati hai wo mulakat, jise hum sapno mei hain sajate.
khata hai humari, ya humara veham,
ya dil ka kasoor hai, jo sochte hai itna hum.
kehna chahte hai unse dil ki baat, magar kabhi keh nahi paate.
phir khyal ata hai ki, kuch accha hai in yaadon mei isliye hum inhe sirf dil hi mei hai basaate."

~minnie~ ki kalam se