Monday, December 30, 2019

Naya Saal (new year)

Tum abhi to aye they, or itni jaldi chal diye...
Bahut sari khatti meethi yaadein deke...
Shukriya tumhara mujhe Jo jyada samjhdaar bnaya,...
Shukriya tumhara mujhe Jo rubroo is duniya ki Nayi cheezon se karaya...
Kal tak tum naye they, Naya Naya karte karte, ik or Naya agya... 
Aaj kal, kal aaj karte karte, Umar ki ik aur Kadi bhada gya.
Suhana tha bilkul Safar ye to Nahi kahungi, but Zindagi ke Kai naye rang ye Purana Saal dikhla gya.

Thanks year 2019 for giving me some more life experiences, surely gonna miss you. And hoping your new brother year 2020 has more amazing things for all creatures of the world.

From Minnie's Pen 
©Loveandlivethedreams.blogspot.com

Saturday, November 16, 2019

Guzashta

When you deep dive in your life's old memories, those which are tangy and sweet too... That give a thought which came to my mind instantly.
(Jab aap apni Zindagi ki purani yaadon me kho jate ho, Jo kadvi bhi thi or meethi bhi, Toh Kuch Yun Apke zehan me khayaal aate Hain Jaise abhi abhi mere jehan me aye.)

Mera Zindagi Ka geet nhi, mere bachpan Ka Saar ho tum.
Meri na jeet ho, na hi meri haar ho tum.
Mann tumhari yaad dilana Chahta hai,
Ye Dil tumhe bhool jana Chahta hai.
Nai Nahi, meri Zindagi ki purani yaadon ki raakh ho tum,
Beshak Mere aaj Ka guldasta Nahi,
Mere kahaniyo Ka bhula bisra guzashta(past) ho tum.

------Minnie ki Kalam se-----

Tuesday, May 21, 2019

Friday, March 15, 2019

Tu mera ya main teri...

Rehguzar hai tu Mera Jo guzarta hai har dagar se meri..
Tujhe Dil mein dhundhu tujhe khayalon mein dhundhu..
Tujhe ayiene mein dhundhu, tujhe tanhaiyon me dhundhu..
Tu bas sa Gaya hai har ik nass me lahoo banke..
Tu Ghar Kar gya hai har iradon me mere.. har ibadat me meri..
Tu aks hai mera ya main ban tujhe si gayi Hun..
Sambhalu kaise khud ko.. main teri rooh se bandh si gayi hun..

From Minnie's Pen