Monday, June 21, 2021

Wo bachpan

Ae barish Ae boondein Ae chanchal pawan.. . 
Tumhe dekh kar tumhe mehsoos kar,  yaad aata hai wo mera massom bachpan ... 
Pani main kagaz ki kashti .. us pawan main udte hum, ye pagal chanchal mann jeena chahta hai firse wo behtareen bachpan....

--
From Minnie's pen

Wednesday, February 10, 2021

Dhalti shamein

A beautiful sunset.. ❤️

Har Raat ki Subha to sunehri Hoti hai, par usse pehle us dhalti hui shaam ki lalima bhi Kuch keh Rahi Hoti hai..
Awaaz us prakrati ki Humese Kuch gunguna Rahi Hoti hai..  dhalna, bikharna, ubharna , sawarna Sab is zindagi Ka hissa hai...
Har din ko aise jiyo, Jaise ik Naya kissa ho.

Sunsets are beautiful alarms, to give a notification to start a new day.
~ From Minnie's pen.


Saturday, October 31, 2020

wazood

Kabhi tha ankhon me tu, is Dil me sirf tu tha,
Fir rang Badle tere, feeke hue har wo nazare,
Fir khawobon me badla tu, rang aur feeka aur mizaaz kadwa Hota gya, tera naam meri Zindagi se khud ba khud mitt ta gya.
Kehte hai Kisi ko itna hi jhakzoro ki uski rooh toofani na bane, shyad bhali hogi bahut wo rooh, warna tumhari nishani na rahe. Wazood tab tak hi tha tera meri duniya me, jab tak tune apna asli rang na dikhaya tha, sach maan meri baat wrna tujhe us Jaise roohani rooh Kabhi na chuye.

FROM Minnie's Pen....

Friday, September 18, 2020

kuch aam, Kuch khaas

Mere chanchal mann ne mujhse poocha.....
"Kisi ko kya hasil hoga mujhe yaad karne se......
main to ik aam insan hun or yahan to har kisi ko khaas ki talash hai....."

Iska jawab mere dil ne kuch is kadar diya.....
"koi khaas hota nahi khaas ban jata hai........
zindagi ka ye nagma hai, jo har ik ko kisi na kisi ke liye khas khud-b-khud bana jata hai......"

From 
....Minnie's pen...

Sunday, April 5, 2020

Aiyena


Aam hoke bhi khaas hai Tu, Zindagi ki sacchai ki aas hai Tu.
Dikhu tujjme khud ko, par Tu Kuch or dikhlata hai,
Itna shant hokar bhi kaise Tu Sab keh Jata hai,
Chahe ho hawa ya, selaab koi tujhe nhi Choo pata,
Fir kaise Tu ik toofan ki ghadghadahat se toot Jata hai,
Nazuk par bada dildaar hai Tu, aam hoke bhi bahut khaas hai Tu.

#fromMinniesPen #mywayOfLockDown #randomThought #loveandlivethedreams

Friday, April 3, 2020

Zindagi pe fanah

Zindagi bas mauka de de, tere nashe me choor ho jaaye hum. Kambakhat samay hi nahi de pate samay ko, wrna fanah ho jaaye hum.

-From Minnie's Pen-
#randomThought
#zindagiTuHiBata
#rukiRukiSiHaiYeZindagi
#myWayOfLockDown

Monday, December 30, 2019

Naya Saal (new year)

Tum abhi to aye they, or itni jaldi chal diye...
Bahut sari khatti meethi yaadein deke...
Shukriya tumhara mujhe Jo jyada samjhdaar bnaya,...
Shukriya tumhara mujhe Jo rubroo is duniya ki Nayi cheezon se karaya...
Kal tak tum naye they, Naya Naya karte karte, ik or Naya agya... 
Aaj kal, kal aaj karte karte, Umar ki ik aur Kadi bhada gya.
Suhana tha bilkul Safar ye to Nahi kahungi, but Zindagi ke Kai naye rang ye Purana Saal dikhla gya.

Thanks year 2019 for giving me some more life experiences, surely gonna miss you. And hoping your new brother year 2020 has more amazing things for all creatures of the world.

From Minnie's Pen 
©Loveandlivethedreams.blogspot.com